Haal-e-dil

Basharat Ahmad Wani

A collection of poems exploring the ups and downs of love while beautifully depicting how a mother’s love for her child is like nothing else in the world.

Mainae wafa ki galiyon mai jaana chood diya hai,
Pyaar ki unn manzilon ko paana chood diya hai,
Teri baewafayi yu raas na aayi mujj kyo,
Mainae dil ko behlaana chood diya hai,
Aur yae jho meri sharafat kya sillah mila hai mujj kyo,
Mainae ab apni gazlon pai aetibaar karna chood diya hai.

Zeher-e-hilal ko jaam samajh kar pi liya hum nae,
Dard-e-dil ko kagaz ki kabron mai dafna liya hum nae,
Phirr khuda nae sabr karne ki aesi tawfeeq bakshi thi,
Ki harr ik sitam kyo taweez bana krr pii liya hamm nae

Tere chehre ki muskan pai sabb kuch nisaar kar dun,
Unn laal hoontu ki nami pai khud kyo war kar dun,
Tumhari chahat mai khud kyo fanah kar dun ga,
Tumko agar dard ho tho mai khud ko beemaar karr dun,
Aur tum sae meri ulfat mai koi kami nahi aayi jaan,
Yakeen na aaye tho iss dil mai tumhare ghar koh numudaar kar dun.

Maa teri ulfat kon mai nazeer ni kar paaun,
Kagaz khatam hu gaye par bayaan nai kar paaun,
Yu tere paer bhi dho lun agar apni saari umer,
Parr uss zachgi ki ek cheekh koh bhi adah ni kar paaun.

Top